كلمات Namaz Padh Lo Jawani Me

🎤 Manisha Yadav أناشيد
[Verse 1]
Namaz padh lo jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai,
Namaz padh lo jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai,
Budhapa kisne dekha hai.
[Verse 2]
Kaan se behre ho jaoge,
Qur’an tum sun nahi paoge,
Kaan se behre ho jaoge,
Qur’an tum sun nahi paoge.
Qur’an sun, Qur’an sun,
Qur’an sun jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai,
Namaz padh lo jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai.
[Verse 3]
Aankh se andhe ho jaoge,
Masjid tum dekh nahi paoge,
Aankh se andhe ho jaoge,
Masjid tum dekh nahi paoge.
Darsh kar, Sajda kar,
Sajda kar jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai,
Namaz padh lo jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai.
[Verse 4]
Mooh se goonge ho jaoge,
Kalma tum padh nahi paoge,
Mooh se goonge ho jaoge,
Kalma tum padh nahi paoge.
Zikr kar, Dua kar,
Dua kar jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai,
Namaz padh lo jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai.
[Verse 5]
Haath se loole ho jaoge,
Sadka tum de nahi paoge,
Haath se loole ho jaoge,
Sadka tum de nahi paoge.
Sadka de, Zakat de,
Zakat de jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai,
Namaz padh lo jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai.
[Verse 6]
Pair se langde ho jaoge,
Hajj tum kar nahi paoge,
Pair se langde ho jaoge,
Hajj tum kar nahi paoge.
Hajj kar, Umrah kar,
Umrah kar jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai,
Namaz padh lo jawani mein,
Budhapa kisne dekha hai.
🟢 واتساب 𝕏

أغانٍ أخرى لـ Manisha Yadav

كل أغاني Manisha Yadav ←